Welcome Khush aamadeed kaisi hai aap sabhi Nazereen ummeeed karta hu aap sab bakhair hoge, aaj ki hamare 2nd blog shayari ka Title (Unwaan) hai Shayarana Shamsi Shayari No.02 jo ki ham Shayarana Shamsi Shayari No.02 π₯Ίπ aur ye hrunning series hai Shayari ki.
Yeh shayari agar aapko pasand aaye to share zaroor kare khaas taor pr unko jinko aap yeh Shayari Dedicate karna chahte.
Shayari No.01:
Ke kuch waqt Mile to shayari likhne baith ta hu main
kuch is tarah apne aansuon ko samet ta hu main
meri yaad shayad teri yaad se shayad behtar
kuch isi tarah apne aap ku kosta hu main!
Translation (Tarjuma): Shayar shamsi Farmata hai ki agar mujhe kabhi bhi waqt mile to mai baith jata hu shayari likhne ke liye, aur shayari jab bhi mai likhta hu main shayari to mai rota hu kyuke isse mera aansu rukte hai, Shamsi kehta hai ki Uski yaad uske na mile hue mehboob se shayad behtar hai, aur wahi cheeze yaad kartke khudku kosta hu main.
Shayari No.02:
Mujhe Kisi ne kaha tha ki mat likh Shams yeh shayari
Bura phasa hu mai wo sahih bolta tha
Par jane na yeh wo ke mai ki accha bolta tha
Meri Galati Diary uske haath lag gayi hai
waqt Guzra to use samjh aaya ki khud ko kyu kosta tha main!
Translation (Tarjuma): Shamsi kehta hai ki Shamsi tu yeh shayari mat likha kar pachtayega, Par ab samajh me aaya hai ki woh sahih bolta tha nahi karne chahiye, Ek din jisse muhabbat karta tha uske haath meri shayari ke Diary lag gayi, jab usne Shayari padhi to kehti hai ki ab to waqt guzar gaya ab samjha hai ki tu khud ko kyu kosta tha.
Shayari No.03:
Woh Pare Hai Jazbaato se
Woh bhala kya maanta hai
Mai ishq maangta hu aur woh nasha maangta hai
Waise to use samjh kam aata hai Shayad
Yeh mai hi hu jo itni si baat ka bura maanta hai!
Translation (Tarjuma): Shayar kehta ki Shams ka mehboob uske jazbaato ko nahi mai pehchaan pata aur use bhala kya pata ki shams use kitna chahta hai, Shams ishq maangta hai aur wo Us ki hi baato me gum hai aur ek shams hi hai jo sab jaanta hai pr Zaraa si baat ka bhi uske bura maan leta hain.
Conclusion:
Ummeed Karta Hu Aapko Yeh Shayari Pasand aayi hogi, agar aapko is shayari ko padhke jab bhi kuch feelings zinda ho to hamare is website "Shayarana Shamsi", ko aap Bookmark bhi kr lijiye ga.
Agar Aap hamare shayari ko aur Padhna chahte hai to hame Social Media aur Hamare website ke Categories per click karke Padh Sakte hai:
- YouTube
- Our Best Shayari Site
- Shayarana Shams (Category)
- Pagal Shams (Category)
- Hasta Shamsi (Category)
- Gamgeen Shamsi
0 Comments