Aapka istakbal hai agr aap hamare is Shayari Khane mein Tashreef Laaye hai to, aaj ki is blog mein hum aapke saamne Top 3 Gamgeen Self-Written Shayari Pesh karne jaa rhe hai ummeed hai aapko pasand aayegi. [ Shayarana Shamsi Shayari No.01 💔😕 ]
Aap hamari Website ko Bookmark bhi kr sakte hai agar aapko hamari koi Shayari acchi lagti hai to!
🥇Shayari No.01:
Muhabbate ke safar me jab usse mila
Nazar to sab aaye pr the sab mujh se juda
Kya karu meri ek aaadat kisi ko acchi nhi lagti
Mai jo kehta huna sacchai woh kisi ko acchi nhi lagti!
Translation (Tarjuma) : Shayar kehta hai ki Jab Main Jawaan that tab mai usse mila lekin muhabbat ki ibtedaa me hi jab usne Duniya ko dekha to Paya ki uske saath Khade to Sab hai Pr Saath Chalne ko koi bhi nhi hai. Phir Shayar kehta hai ki Maine jab khud se yeh baat poochi ke aakhir konsi baat hai ke mere saath koi nahi to Paya ki Doosro ki koi Galti nhi hai yeh to Meri Sacchai Bolne ki wajah se hai.
🥈Shayari No.02:
Main Hamesha meri kismat ko kosta raha
Meri Kismat us din Badli hai jis din
Meri Darwaaze pe usne Salaam kiya tha
Meri to sitti Pitti hi Gul gayi jis din Us din
Jis din maine suna Aawaaz-e-naaz!
Translation (Tarjuma) : Shayar kehta hai ki mai hamesha meri kismat ko Kosta tha bohot kosta tha, lekin meri kismat us din badal gayi jis din maine pehli Baar us Husn ka deedar kiya, Jaise hi meri nazar us Husne Naaz par padi mai apne Dil Usi waqt Kho Baitha, Aur mere khushi ki koi kami na Rahi jis din usne pehli baar mujhe Meri Naam se Pukaara Tha.
🥉Shayari No.03:
Oh Shams Auron ka to Pata Nahi pr yeh Safar-e-Muhabbat
Meri liye to accha na raha
Maine Chaaha Jise woh mere liye Accha na raha
Muhabbat ki thi na Shams Tune
Par yeh tera Imaandari wala safar fir use accha na laga!
Translation (Tarjuma) : Shayar shams yeh kehta hai ki Doosro ka to pata nahi pr yeh muhabbat ke safar me yeh raasta mere liye kuch accha nahi raha. Jise maine chaaha woh mere liye accha nahi raha, woh us tarah na tha aur woh wo na tha jise jisse mai muhabbat krta tha aur phir khud se hi shayar poochta hai ki tune ki thi na muhabbat par ki bhi thi to Imaandari wali to Shams yeh Imaandari wali muhabbat hi use phir nahi lagi.
Conclusion: To Muhabbat e Naaz ki is top 3 self-writen shayari yaha khatam hoti hai mai ummeed karta hu ki yeh Shayari aapko pasand aayi hogi, agar nahi aaye hogi to maafi chaahuga, aur behtar likhne ki koshish karuga.
Agar Aap hamare shayari ko aur Padhna chahte hai to hame Social Media aur Hamare website ke Categories per click karke Padh Sakte hai:
- YouTube
- Our Best Shayari Site
- Shayarana Shams (Category)
- Pagal Shams (Category)
- Hasta Shamsi (Category)
- Gamgeen Shamsi
0 Comments