Aapka swagat hai hamare is website par aane ke liye aur jiske liye aaye hai woh unwaan bhi bada accha Dard bhara hai jaise ki aap padh hiu chuke hoge par ek aur baar bataa deta houn Shayarana Shamsi Shayari No.05 ☹ To hamesha tarah pichle 4 Parts ki tarah hi yeh Shayari Part no.05 bhi bada aapko Pasand aayega.
To Mere Shayari Sunne Waalo aur waaliyon bhaiyaa aur behno agar aapko hamari shayariyan pasand aati hai to Zaroor hamaare website ko Bookmark kare.
Shayari No.01:
Kuch is tarah teri baaton ka IZTARAB aaya hain
Kuch is tarah meri HITMATO ka ubaar aaya hain
Kuch is tarah usne MUHABBAT me bad Unwaani ki
Bada sochne ke baad us par AITERAF aaya hain
Translation (Tarjuma): Shayar kehta hai ki teri baaton ne yaadon ne kuch is tarah bechain kardiya hai is Shams ko ab use khud ka bhi khayaal nahi raha, Aur kuch isi tarah teri yaadon ki bahaar mere dil me basti ja rahi hai aati jaa rahi hai Jisko ko soch nahi sata main samajh nahi sakta kyu hai aur kya hai.
Lekin Bohot kuch samjhne sochne Dekhne ke baad teri chaal ka pata ab mujhe chal gaya hai, usne muhabbat me sochiye log paiso se rishwat khori krte hai par is kafaara ne is dile jaana ne Muhabbat me Bad Unwaani ki hai mera ghar ujaad diya.
Bada socha yeh baare me maine aur bas yakeen kar liya ki jo kuch mere saath ho raha hai hua hai woh koi khwaab nahi sach hain.
Shayari No.02:
Aye Sitam thaa ne wale Bahot sitam thaa raha hai tu
Ek main hu ki kareeb aata hu aur Door ja raha hai tu
Aye Zakham dene wale bada Tad paa raha hai tu
Ek main hu ki Marham lagata hai
Aur ek tu hai ke Aur Dard La raha hai tu
Zara Apni Aankhein khol ke dekh to zara aye jaane wale
Meri jaan le jaa raha hai tu
Aye chale jaane wale ek aarzoo hai sun ta ja
Main ab Ishq likhta hu use mitana na
Translation (Tarjuma): Likhne waala Shayar kabhi kabhi Shayari likhte likhte kamaal hi likh det hai Tarjuma samaat farmaaye is ka aap sab bhaiyon aur behno, Oo yeh kambhakt Shams likhta hai ki Aye sitam thaane waale bohot sitam thaa raha hai tu matlab ki aye mere mehbob muhabbat me ishq me pyaar me to Khushi milti hai na par tu aisa nahi hai mujhe khushi nahi deta ulta Bada zulm uthaa raha hai mujh par Muhabbat me.
Ek main hu ki tere baar baar kareeb aane ki koshish karta hu aur ek tu hai ki Door jaane ke bahaane talaash karta hain, Baad me shayar kehta hai ki yakeen maan aye Zakham dene waale bada mujhe tad pa raha hai tu mera yakeen maan kafara mera pehla Zakhm bharta nahi to tumhara doosre ubhar jata hai.
Dekh phirbhi main Marham lagane aata hu aur tu hai ki jab bhi Tad paa raha hai, AYE jaan lene waale zara apni aakhein khol ke zara dekh tu sirf jaa nahi raha meri jaan bhi saath le ja raha hai tu.
Aur ha sun le aye jaan le jaane wale aye jane wale main itna hone ke baad bhi IShq likh raha hu aakhir aisa kya hai jo use bhi mita raha hai tu.
Shayari No.03:
Meri Galiyoon me tera Istakbaal tha tu nahi aaya
Main Jab bhi teri gali aaya tu Gam laaya
Yeh bada Ajab zulm uthaaya hai tumne Muhabbat me
Main jab bhi teri gali aaya tu hai ki gam laaya
Translation (Tarjuma): Shayar shams kehta hai ki Main tumhaara meri Gali me meri dilgaliyo me badi muhabbat se tumhare aane ka rasta dekhta hu par tu nahi aata, aur phir tu kyu nahi aaya yeh jaan ne mai teri galiyon me aata to mere liye meri aamad par Tohfe gamo ke laata hai, sach maan Shamsi tu Shams ko bada Tadpata hai.
Bada sochta hu itna ke koi had nahi Shamsi par sab bhulaane ke baad bhi jab teri gali aata hu to tu har dam wahi baat baar baar har tareeke se tu mujhe aazmaata hai.
Conclusion: To yahi thi hamaari aaj ki Shayarana Shamsi Shayari ka Part No.05 ummeed karta hu ki aapko bada pasand aaya hoga, agar zara sa bhi pasand aaya hoga to make sure ki aap hamare is website ko BOOKMARK & YouTube channel ko zaroor se Subscribe Kare g, Jazakallah.
Check it out, our latest release on our YouTube Channel:
Recent parts of Shayarana Shamsi Shayari series:
0 Comments